Friday 10 June 2011

Dil Kabhi-Kabhi

 Yaar  kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Koi aankhein kholtey he humein dekhna chahe
Meri her ruchi her takraar mei usey bas pyaar nazar aaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Kisi ki aankhein humse milne k liye bekraar ho jaaye
Kisi ki neendo ko mere sapno ka intezaar ho jaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Meri naaraajgi per bhi jisey pyaar aa jaaye
Bin kahey mere woh meri her baat jaan jaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Bheedh mei uski nigaahey mujhi ko dhundhna chahe
k utsav ho ya mela ho ki mujh bin tanhaayi ka shikaar woh ho jaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Ho patjhad ka mausam ya saawan ki ghata chhaye
Bina soche he meri baatein usey her mausam mei tadpaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Chahe khwaabo mei usey mera didaar ho jaaye
K sach usko paaker mera mann bhi milne kay liye bekrar ho jaaye

Yaar sach kabhi toh usko mujhse or mujhe ussey pyaar ho jaaye......

1 comment:

  1. Aapki aaj tak likhi sabse bst composition h ye isne mera dil chura liya h 2 reasons h isko like karne ka pahla it included my name another aajkal ye saari feeling ho bhi rahi h. Thx for writing it. God bless u ab isse jyada achchi poem mat likhna ye hamesha meri fav rahegi

    ReplyDelete