Monday 19 September 2011

Aukaat

Aasma or jami ki jung ho rahi thi
Aasma bhi tha kuch gumaan mei
Jaane dharti per kiye kaise ahsaan mei
Bola woh kuch chillaata hua
Apne per yuhi ithlaata hua
Bata teri aukaat kya hai,tu aaj bhi wahi hai
Duniya chhoney aasma chali hai

Bata tujhe puchta kon hai
Mai jo paani na barsaaoo toh kaise shithil pad jaati hai tu
Jo suraj-taare na chamkaaoo toh kaise doob jaati hai tu
Bata tera wajood kya hai jo tu mujhse yuh bhidne chali hai

Tujh per haryaali failaaoo main
Pawan k jhokon se tujhe harshaau main

Dharti sab sunti rahi or aasma yuhi ithlaata raha
Dheere-2 woh shaant hua
Fir holey se dharti boli
Ek baat bataega ae aasma tu
Tu mera wajood puchta hai kyu?

Agar mai na hoti toh tere suraj-taare, baadal-barsaat,hariyaali, pawan k jhokein
Kya koi aastitva hota inka
Isliye mai maa hoon jo apne bachchon ko yeh sab sehker paalti hu
Or tu wahi pita hai jo un per aise he drishti rakhta hai

Per yeh na bhool tu beshak mujhse bada hai
Mujhse jyada shaktishaali hai
Per yeh duniya aaj bhi pita se jyada maa ko pujnewaali hai...........

Thursday 8 September 2011

Dhamaake Ki Cheekh

Kabhi-2 kuch baatein yaad aati hai
Chere per ek nayi muskaan chhod jaati hai
Us pal woh hasna woh gud-gudaana yaad aata hai
Yaad aata hai woh her lamha dil jisey bhool nhi pata hai

Fir ek din un sapno ka saath chhooth jaata hai
Jaane kitne apno ka haath chhooth jaata hai
Waha fir tanhaaiyon or gumo ka basera hota hai
Ek ujle kamre mei chhaaya barbas andhera hota hai

Fir koi khushi nhi hoti waha
Bas ek mon si cheekh hoti hai
Ek dum ghut'ti si zindgi hoti hai
Saans mei saans judti hai or aakhri saans per ka her saans per pehra hota hai

Mai yeh nahi kehti k dum ghut kyu nahi jaata
Waqt kyu nahi tham jaata wahan
Jahan khushiyon ka sehra hota hai
Per yeh mumkin nahi,mumkin nahi waqt ko rok paana

Kisi ki cheekh nahi sunta koi shayad aaj ka aadmi behra ho gaya hai