Tuesday 24 May 2011

Badalte Aashique

Ek kali madmaati, muskuraati si
K roz ek bhawra aaker us per baith jaaya kerta
Woh kali khush hoti itraati or apni sunderta per ithlaati thi

Bhawra roz aata or usey uski khoobsurti ka ahsaas karata
Woh khush hoti or khilti jaati
Bhawra yuhi aaya kerta wo kali ab kusum thi
Haan yovan se saji, wahi manbhaavni khushbu ki chadar mein dhali

Mausam badalte rahe k ghadiya badalti rahi
Dheere-2 bhawre ne aana chhod diya
Ab udaas kusum ne bhi muskurana chhod diya

Fir ek din band hoti uski pankhudiyon ne kuch dekha
Bhawra wahi tha, k phool naya tha
Waise he ithlaata, madmaata sa
Ab usey kuch ahsaas hua
Woh jo uska tha, uska kabhi hua he nahi

Bhawra toh yuhi badal-2 ker phoolon per mandrata raha
Yuhi mausam bhi badal-2 ker apne rang dikhlata raha
Ab karwat li us bhujhe mann k kusum ne
Jisne jaana apne AKS ko or pehchaana apne waqt ko

Usne bochaaro se dosti ker li
Apni pankhudiyon mein nayi rangeeniya bhar di
Ab toh kismat-e- titliya uski saheliya thi
Or dhokhebaaj bhawron se usne humesha kay liye tauba ker li thi....

Sunday 15 May 2011

Yaaro Sab Dua Karo

Meri aarzoo adhuri thi
Kuch tammanaye adhuri thi
Kuch ahsaas adhure the
K kuch jazbaat adhure the
Abhi zindgi adhuri hai

K koi pyaas adhuri hai
Ya koi saas adhuri hai
Mere merne ki dua karo yaaro
K jeene pe mere kisi ki koi khwaahish adhuri hai

Bana k humsafar akela chhod jaate hai
Anjaani raaho pe tanha chhod jaate hai
Na saathi ka pata mujhko,abhi manzil adhuri hai
Kaanta nikalta nhi k iski koi faas adhuri hai
K mere merne ki dua karo yaaro,is pe kisi ki koi aas adhuri hai

Na dafan karo humein zinda
Abhi saas adhuri hai
Dum ghut'ta nhi mera
Jeena iski majboori hai
Mere merne ki dua karo yaaro,k us jaalim ki koi kaash adhuri hai.....

Wednesday 11 May 2011

Jhootha Humdum

Badi shhiddat se tumhe paane ki koshish ki thi humdum
Badi shhiddat se tumhe apna banane ki koshish ki thi humdum
Per jaane wo waqt kaisa tha ya kismat ka natija tha
K khaali they haath or reh gayi aankhein keval num

Roz dil ko jhoothey bharose diya kerti thi main
Roz khud ko he kosa kerti thi main
Jaane kyu apna kuch dhundti thi main tujhme
Jabki tumne toh apna kuch paaya he nai thi mujhme

K khulte-2 ek din kuch raaz aisa khul gaya
K jaise meri zindgi ka aaina he dhul gaya
Woh tukde aaine k they, ya mere dil k hazaar they
Jisse meri umeedein, mere sapne hue sar-e-bazaar they

Fir se kosa maine dil ko; kyu juda tha woh tumse bewajah
Tera pyaar toh pyaar he nhi tha bewafa
Maine kyu bana liya tha tumhe yuh humdum
Isliye ab raakh they mere sapne or aankhein thi num...

Monday 9 May 2011

Kya Hai Zindgi??

Kya

Adhure sapno k purey hone ki pyaas hai zindgi
Sapne kuch purey hue,kuch toot gaye
Kuch purey hue,jo purey hue; unhe bhala yaad rakhta kon hai
Tootey sapno k purey hone per ek naayi he pyaas hai zindgi

Maanga tha kuch apna us ishwar se
Gar nhi dena tha to usey mera banaya he kyon tha
Or gar dena tha toh chheena he kyon tha
Kya inhi sawaalo ka ek mook jawaab hai zindgi?

Shaant dariya ki tarah behti hai zindgi
Kabhi takraati hai un paththro se,to
Toh tod kay sira aagey badhne lagti hai
Per behti hai or fir saahil tak aati hai
Kya keval ek bahaav hai zindgi?

Sapne kabhi apne nahi hote
Dariya bhi behta rehta hai
Saahil bhi apni satah nhi chhota
Bas reh jaatein hai; kuch adhurey sapney,ek naayi dhara
Jiske purey na honey ya saahil tak laut aane ka keval ek dhundla sa vishwaas hai zindgi.... 

Wednesday 4 May 2011

Roz

Roz shama jalti, roz parwaana aata
Ek din shama ne jalna chhod diya

Humne pucha kya hua tujhe
Woh chup rehti
Kuch na kehti

Hum toh bhai samaaj hai na kisi ko chup thode he dekh sakte hai
Kisi ki shaanti thode he samajh sakte hai
Aakhir humne theka jo le liya
Her din khojbeen mein jut gaya

Fir ek din paaya

K shama k pighalte aansu kuch keh rahe hai
Woh bole dekho mere is roop ko
Roz fanaa hote parwaane ki is raakh ko
Jab pata chala mere parwaane mujhe is kadar chahte hai
Toh unki yaad mein maine bhi mon rehna seekh liya
Ab na jalti hun na jalati hun
Bas unko yaad ker sadma khaaye ghuli si jaati hun
Log mujhe begairat kehte hai,unhe kya pata
Apni kismat se ladd main unse sirf wafa he kamaati hun..

Tuesday 3 May 2011

Yeh Pyaar

Yeh pyaar jab pyaar deta hai na kismat savaar deta hai
Jannat ka didaar deta hai
Zindgi ko ek naya khumaar deta hai
Her pal ki khushi or bin baat ki hansi deta hai
Naye-2 sapno or rangeeneiyo se bhari raat deta hai
Khuli aankhon mein sapne or chere ko nayi pehchaan deta h

Or jab yahi pyaar chhin jaaye toh sach mein
Quyamat-e-didaar deta hai
Zindgi dushwaar ker deta hai
Nam aankhon mein boondon ki bochaar deta hai
Kahi siskiyon se bhari raatein deta hai
Toh saavan mein gum-e-bahaar deta hai
Tanhaaiya or akelapan beshumaar deta hai

Sach yeh pyaar jab pyaar deta hai toh patjhad ko bahaar ker deta hai
Or gar chhin jaaye toh zindgi ko viraan ker deta hai.

Sunday 1 May 2011

Ruki Si Zindgi

Zindgi jaane kaise ruk si gayi hai

Jaise kisi dariya kay theraav si
Izzar kay liye lagi Muchhoo k daav si
Mochh khaaye paav si
Ya kay kisi chotil k khooni risaav si

Zindgi ruk si gayi hai

Kisi kay dil per lagey ghaav si
Sab per chhaye tanaav si
Ek tarfa pyaar k lagaav si
Ya kisi yugal kay algaav si

Zindgi ruk si gayi hai
Kyuki yahan her pal lagti hai; zindgi ki he baazi jaise koi daav si