Sunday 26 June 2011

Toh Jaana..

Tum se mili,  toh jaana....

Kisi ki jindgi ho or mere liye keval naam ban gaye to tum
Kisi ka sapna ho or mere liye bas ahsaas ban gaye ho tum

Koi tumhi ko chahte hai raat din or mere liye beeti baat ban gaye ho tum
Tumne jisey chaha woh tumhe mil gaya or mere he naam se badnaam ho gaye ho tum

Tumhari duniya mein phoolon ka basera hai mere liye kyu kaatein bhar gaye ho tum
Tumhare khwaabo ko pankh mil gaye hai fir mere sapno ko taar-2 ker gaye ho tum

Tumhari kashti toh saahil per thi fir meri per he kyu duniya ka bhaar rakh gaye ho tum
Bana k apna fir bana k tanha aaj mere her armaano ka katal-e-aam ker gaye ho tum..... 

Friday 10 June 2011

Dil Kabhi-Kabhi

 Yaar  kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Koi aankhein kholtey he humein dekhna chahe
Meri her ruchi her takraar mei usey bas pyaar nazar aaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Kisi ki aankhein humse milne k liye bekraar ho jaaye
Kisi ki neendo ko mere sapno ka intezaar ho jaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Meri naaraajgi per bhi jisey pyaar aa jaaye
Bin kahey mere woh meri her baat jaan jaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Bheedh mei uski nigaahey mujhi ko dhundhna chahe
k utsav ho ya mela ho ki mujh bin tanhaayi ka shikaar woh ho jaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Ho patjhad ka mausam ya saawan ki ghata chhaye
Bina soche he meri baatein usey her mausam mei tadpaaye

Yaar kisi ko humse bhi pyaar ho jaaye

Chahe khwaabo mei usey mera didaar ho jaaye
K sach usko paaker mera mann bhi milne kay liye bekrar ho jaaye

Yaar sach kabhi toh usko mujhse or mujhe ussey pyaar ho jaaye......

Tuesday 7 June 2011

Khuli Aankhein

Band aankhon k sapne kitne haseen hote hai na
Khuli aankhon ki haqiquat se
Kitni dardnaak hoti hai kisi ki ruswaayi
Or usse bhi jyada dukhdaayi hoti hai kisi ki judaai

Band aankhon mei jab hum kisi k paas hote hai na
Woh pal kitne khaas hote hai
Uski woh madhosh si baatein
Jhuki palkon ka uthna, muskurana yaad aata hai

Khuli aankhon ki haqiqat se darr lagta hai
Khushnuma palo k chhutne se darr lagta hai
Darr lagta hai kisi k door jaane se
Kisi khaas k khud ko bhool jaane se darr lagta hai

Yeh jo chidiya geet gaati hai na
Sach yeh sirf ek hulchul machaati hai
Band aankhon mei yahi gaana pyaara tarana hota hai
Yeh saawan tumse milne ka bahana hota hai
Uski her baat per dil jhoom uth'ta hai
Or unhi baaton ka lamba fasana hota hai

Per khuli aankhon mei woh paas nhi hote
Unke saath bitaaye palo k ahsaas nhi hote
Or nhi hoti woh baatein-mulaquatein
Kyuki khuli aankhon mei sapno se meethe jazbaat nhi hotey............

Friday 3 June 2011

Andhere Ki Kaali Chadar

Raat ki kaali chader
Sabko apne aagosh mei lapete kuch soch rhi hai

Kisi ko haseen sapne hazaar de du
Ya kisi ko bilakhti gumbhari raatein
Kisi ko bhookhe pait per vishraam de du
Ya kisi ko bharpait per bechain raatien

Raat ki kaali chader
Sabko apne aagosh mei lapete kuch soch rahi h

Kisi ne din mei kya-kya khoya, paaya
Ya kisi ki ujadti zindgi ki gahni raat de du
Kisi ko pyaar-manuhaar de du
Ya kisi ko bekarari ki raatien

Raat ki kaali chader
Sabko apne aagosh mei lapete kuch soch rahi hai

Kya subah ka ujala sab badal paaega isko
Gar nahi, toh rehne do raat ko yuhi
Kam se kam kuch :-
Khaamosh aadmi,
Bechain mann,
Gud-gudaate sapne,
Bhookhe pait zindgi,
Aasra paa rhe insaa
Or andhere ki kaali chader mei dubti raat, yahi kuch sochti-2 aagey badhti ja rahi hai....