Tuesday 9 October 2012

Maut

Ae baegairtien-Maut tu kisi ki na ho saki

K fir chali aayi tu zindgi ko haraati hui
Kisi ki duaao-dawaao per pehra lagaati hui
Kisi ko apno se door karwaati hui

Lo fir khade h hum aaj us mukaam per
K kisi k antim rukhsati k salaam per
Ek shikan aaj uske chere per chhayi hai
Jisey tu yuh zindgi se door le aayi hai

Tu nhi jaanti k pyaar kya hai
Kisi khaas k saath hone ka ahsaas kya hai
Kisi ki bolti aankhein; ankhi muskaan kya hai
Isliye toh tu MAUT hai....
hai na baegairat si, bemaani si.............

Tuesday 7 August 2012

Khilona

Toot gaya haye chhooth gaya
Meri baaho mein aane se pehle mera chota sa khilona toot gaya

Kuch saapne jud gaye they us'sey
K armaano ki raahein mud gayi thi us'sey
Haye mera sapna kaise aankhon se udd gaya
Nami dekar unme woh kaise andhero se jud gaya

Maati ka nahi tha woh khilona
Jaane kitne ahsaaso, kitne saanso,kitne vishwaason ka tha woh
Woh aise kaise mujhse rooth gaya
Mera lamba intezaar kaise ek pal mein toot gaya

Haaash.... kya bataaoo kaise mera dil tod gaya
Kaise woh mujhe yuhi tadapta chhod gaya

Kaise mera sapna tod gaya...



Friday 23 March 2012

Kuch Yaadein

Kabhi-2 kuch khatti-meethi yaadein yaad aati hai

Kabhi hans deti hoon unhe sochker
Kabhi wahi rula jaati hai
Tum gaye na dekha tumne palatker
Kabhi kismat toh kabhi khud ko kos liya

Per ab kya karu jab door nhi or paas bhi nhi ho mere
Per ab bhi kuch khatti meethi yaadein yaad aati hai

Jaanti hoon tum mere nhi ho
Per kyu juda bhi nhi ho
Per yeh sab kya hai
Nhi jaanti hu main

Kya koi tut'ta sa sapna hai
Ya k haqiquat jo khitchti jaati hai
Mai kya hoon?
Kay kya ho tum mere?

Kon ho tum mere jo kabhi apne
Kabhi kitne paraaye nazar aate ho
Shayad koi nhi
Hote; toh shayad yuh na tadpaate
Yuh na chhod k jaate....

Wednesday 29 February 2012

Haan Aadat Si Ho Gayi Hai

Aadat si ho gayi hai


Her shaam khud ko tanhaaiyon mei paane ki
Ki teri her baat yaad aane ki
Yaad ker us pal tujhko, k kos ker khud ko
Apna he dil dukhaane ki
Aadat si ho gayi  hai

Tera mujhko yuh galat kehne ki
Yuh her baat per mera dil tod jaane ki
Or her pal naye zakham khaane ki
Un dard per tere hansne ki
Aadat si ho gayi hai

Her pal tere sang thi mai
K her mehfil mei tanha thi
Per kuch yaadein saath thi
Ab un yaadon mei jeene ki; kya karu
Aadat si ho gayi hai

Tum nhi aate per tumhaare aane ka intezaar hai
Teri nafrat jaanker bhi tere hans k bolne ka intezaar hai
Mere aansu thamte nhi k teri muskurahat chahte hoon
Koshish bhi karu gar tumhe bhoolaane ki toh
Tumhe or yaad kerne ki aadat si ho gayi hai

Log mere chehre se mere dil ka haal jaan lete hai
Guzre saalo mei aaye badlaav dekh letein hai
Kya tum nhi samjhte k mai aisi kyu hoon
Meri khushiyon se koi vaasta nhi hai tumko
Shayad her pal tadapta dekhne ki mujhko
Tumhe bhi aadat si ho gayi hai............


Thursday 23 February 2012

Haan Tum Woh Nhi Ho

Tum woh nhi jiska mujhe inteezaar tha
Tum woh nhi jis'se mujhe pyaar tha

Jiske aane se meri zindgi badal jaati
Jiske aane per meri tanhaaiya mukuraati
Jiski ek haami per mai jaane kya ker jaati
Per tum woh nhi ho

Haan tum woh nhi ho

Mere jeevan mai shayad gum ki woh badli ho tum
Jo baras ker bhi apne nishaa chhod jaate ho
Mere paas aaker mujhe apnaker
Fir waise he tanha chhod jaate ho


Haan tum woh nhi ho

Jiske kaandhey per mai apna sar rakh ker ro deti
Jiske kaaton ki chubhan ko mai khud per seh leti
Tere her dukh ko le leti
Or sirf khushiyon se tumhe bhar deti

Per tum woh nhi ho

Tumne her pal aajmaaya hai mujhko
Tumne jaane kitna rulaaya hai mujhko
Maine woh gunaah kiya he na the
K jinka jimmedaar banaya hai mujhko

Haan tum woh nhi ho
Sach tum woh nhi ho