Tuesday 29 March 2011

Usne Pucha


Usne pucha kya mere bin jee paaoge,
maine kaha;tu ek baar jaane ki toh keh zaalim,
Fir laut humein na dekh paaoge,


Usne pucha kya mere liye falak k taaro se zyada chamak paaoge,
Toh dil keh utha;
k zindgi khatam ker du toh sabse zyada chamakte taaron mein humein he paaoge..

Wednesday 23 March 2011

Mulaquaat

Gar zindgi mein mushkilaat na hoti,
Meri tumhari koi baat na hoti,
Or na hoti woh raatien-mulaquatien,
Toh sach mein ae gum-e-zindgi; aaj in aankhon se yuh barsaat na hoti.........

Sunday 20 March 2011

Naya Maksad

Tumse milker zindgi ko ek naya maksad mil gaya,

Tum bin zindgi kitni gumgeen thi bichari,
Tumse hue zindgi rangeen ab humari,


Tumne jo itney pyaar se humein dekha tha,
sach kahu itna toh humnein aaina bhi nahi dekha tha,
jo tumne humein baar-baar dekha tha,

Tum apni natkhat si aankhon se kuch kehte ja rhe the,
k hum jhukhaayi si nazro mein behte ja rhe the,

Abhi toh sharmaaye Nazrein uth bhi na paayi thi,
k teri boli ne needien meri udaayi thi,

Haal humara kaise aafreen ho gaya,
haaye; k dil kaise dhak se reh gaya,

Or zindgi ko ek naaya maksad mil gaya..

Thursday 17 March 2011

Mausam Ka Mizaaz

Bhor ka taara;bhor mei aata,
Raat ka her andhere mita-ta,

Maine bachpan mei suni thi yeh baatien,
Kaise andhera bhaag jaata hai suraj k aate,

Dukh bhi yuhi kaafoor ho jaata hai sukh k aate,
Her savera nayi roshni ki kiran laata hai,

Per bachpan ki yeh baatein;bachpan mei he vida ho gayi,
Or de gayi gum or tanhaai ki sisakti raatien,

Jaane ab kyu wo bhor ki sukhbhari kiran kyu nhi laata,
Jaane kyu jeevan ka yeh andhera kaafoor kyu nhi ho jaata,

Ab darti hu ujaale ki her kiran se:
or dubti raaton se,

Kabhi-kabhi mann k aakaash per badal bhi chha jaate hai,
Tarsi si nigaaho mei kuch sapne bun jaate hai,

Sochti hu ye badal jab chhatenge,
To shayad bachpan ki baatien sachhi ho jaaengi,

Per woh bhi chhatne per mere bheegey daaman ko or bhigo jaatein hai,
Or yaad dilaati hai bachpan ki wahi sab baatein,

K.... ek din sukh ka naya suraj niklega,
Or badalti hawaaion se mausam ka mizaaz bhi badal jaaega,

Shayad tab fir bhor ka taara aaega.

Monday 14 March 2011

Tum Na Aana

Tum na aana k yeh dil ro dega,
Tum na aana k yeh dil ro dega,
Tumhare jaane per badi mushiklo se sambhala hai khud ko,
K her aahat per sochti thi tum aaye ho,
Per ab na aana k aahato ko sunna chhod diya hai maine,
Tanhaaiyo mei gumo ko peena seekh liya hai maine,
Jhoothi muskurahat dena seekh liya hai maine,
K ab tum na aana k tum bin jeena seekh liya hai maine;
Gumo ko peena seekh lia hai maine..........

Tuesday 8 March 2011

Aaj Tum Aawaaj Na Do

Aaj tum aawaaj na do;mere mon ko koi saaz na do,

Meri band aankho ko band rehne do;k isme koi sapna behta hai,
Khol ker unhe koi naya aagaaz na do,

Maine basaaye hai ek nayi duniya tum bin,
Aaker usme apna koi naya raaz na do,

Mera mon sab dabaye hai,k meri aankhein sab chipaaye hai,
Jagaker ker unhe tum koi naya alfaaz na do..

Monday 7 March 2011

Gar Duaaon Se Kaam Chalta Hota

Duaaon se bas chalta hota agar;to hum bhi chere per nayi chamak liye phira kerte,
Fir na hota yuh nakli muskurahat ka mukhota;or hum bhi haal-e-gum na piya kerte,

Maana khush hoker zindgi beetana;justjoo ho gayi hai jeeven ki,
Gar kaatein he paane the;toh hum khushiyo ki bagiya na seecha kerte;

Bujha dete in aankho ki roshni ko;k kuch or ab dekh nahi sakte,
Per kya?
Gar neend bhari aankho mei koi sapna aa jaaye toh use hum mita nahi sakte,

Duaao se kaam chalta hota agar;toh hum bhi chere per nayi chamak liye phira kerte..............

Tum He Kaho

Chhin gaya chidiyo ka aashiyana,
Bata isme kasoor aandhi ka hai;ya waqt-e-haalaat ka..............

Sunday 6 March 2011

Ajeeb Maquadder

Gar maquadder he zindgi hai to khushiyo ka koi andesha nhi hai
kyuki jab bhi humne kuch pana chaha to rab ne keh diya yeh tera nasib nahi hai

kyu naseebo ka yeh dakhal meri tabah-e-zindgi ban gaya hai
k ab khud ko pechaan lu woh aainya nahi reh gaya

log ise kismat ka dosh kehte hai to mai keh du meri to kismat he nahi hai
saza-e-gum paane k to hum gunahgaar bhi nahi hai

dosh dete hai maqudder ko k us per ab yankee humko nahi hai
or gar maquadder he zindgi hai to khushiyo ka andesha ab humko nahi hai.

Uljha Sa Mann

Tum mujhe yaad kerte ho na?

Tumhari uljhi-uljhi si kavitaao mei; parvato se nadiyo ka behna,
Roz raaton m taaro se baat kerna;mujhe samajh nhi aata,

Yeh dil toh bas itna puchna chahta hai,
Tum mujhe yaad toh kerte ho na?

Woh oas ki boondo ka patto se behna;phoolo per bhoro ka baithna,
Tanhaayi ki raaton mei hitchkiyon ka aana;mujhe samajh nhi aata,

Yeh dil toh bas itna puchna chahta,
Tum mujhe yaad toh kerte ho na?

Mere uljhe se mann mei kaayi sawaal aate hai,
Jo viraan raato mei mujhe satate hai;kuch samajh nhi aata,

K dil bas itna he puchna chahta hai,
Tum mujhe itna yaad kyu aate ho haan?????

Thursday 3 March 2011

khayal ya k gum hai koi

khayaalo k samander mei roj kitni machliya baha kerti hai;
unhe kya pata kab kis machuaare k jaal mei phas kon toot bikhar jayegi,

mera darwaja khula hai gumo k liye;khushiyo to bas khidkiyo se takra ker laut jaati hai
khush ho jata hai yeh dil jab meri aankho mei ashk dekh unki ankho mei bhi
muskaan tair jaati hai,

per tum na yuh ashk bahana k iska jimma toh bas mera hai,
taa umra khushiyo de woh tumko jisne likha tumhare liye koi
sapna sunehra hai,

manzil ka kuch nahi pata humko k dil bas itna jaanta hai
k meri her raah mei bas andhera hai,

mai shayad samander ki wo machli hu;
jiski her raah per bas machuaare ka pehra hai.