Friday 29 April 2011

Kuch Toh Hai

Dil ka aalam kuch bheega sa hai
Ya ka tammanaao ka pankh kuch geela sa hai
Udne ki bahut koshish ki hai aaj
Laghta hai mausam ka mizaaz bhi kuch dheela sa hai......

Wednesday 27 April 2011

Tut-ta Vishwaas

Apne kangan ki khanak kho chuki hu mai
Apne chere ki damak kho chuki hu mai
Kuch jaan baaki thi in aankhon mein; aaj unki bhi chamak kho chuki hu mai

Ek dhundli si tasveer ban gayi hu mai
k ek maati ki murat ban gayi hu mai
Ab koi tod de ya baha de chahe;aaj apna aks kho chuki hu mai

Dil ko yuh chot dene ka haq diya tha maine
Apna sab kuch jisay saup diya tha maine
Jiski ek haami se meri duniya badal jaati;aaj us shaksh per vishwaas kho chuki hu mai

Door rehna; k tera choona ab jalaayega mujhko
Teri her ek bewfaayi ki yaad dilaaega mujhko
Nafrat ho gayi hai teri her baat se mujhko;k jis per hanss ker apna sarbasv kho chuki hu mai....

Tuesday 26 April 2011

Bataao Kya Mila ??

Bataao kya mila mujhe yuh rulaker
Mere khawaabo ki yuh asthiya banaker
Bataao tumhe kya mila?

Mere tumhare beech to ek pagdandi sa rishta tha
Us gumnaam se pull ko is tarah hataker
Bataao tumhe kya mila?

Kuch garaztey se vichaaro ko yuh gad-gadaker
Aandhiyon se rishte ki naazuk dor ko tudwaaker
Bataao tumhe kya mila?

Mere jeevan ki kashti ko bhanwar mein fasaker
Meri tabaahi ko alfaaz-e-dua banaker
Bataao tumhe kya mila?

Mujhe yuh her pal sataker
Meri zindgi ko saza-e-gum dilaker
Aakhir tumhe kya mila?

Bataao kya mila??

Sunday 17 April 2011

Dhokha

Maine kya jaana tha yeh duniya dhokhey ki hogi

Main toh her bochaar ko baarish samajhti rahi
Or her khiley phool ko tumhare aane mausam jaanti rahi

Main toh her parindey kay pankhon per sapne sajaati rahi
Or waqt jaane kaise raet kay teelo per mera aashiya banata raha

Koi-koi dhoomil si tasveer teri yaad dilaati rahi
Or main her anjaan raah ko tere aane k liye sajaati rahi

Aankh khuli toh jaana tuney jhootha dhokha diya tha aane ka
Tera to faisla he tha mujhe taa-umra tanha chhod jaane ka

Tab wo parindo ki udaan,raet ka aashiya,dhoomil si tasveer
Or kyu main yuh her anjaan raahein sajaati rahi?

Teri her baat,her aadat ko kyu mai apni zindgi banati rahi
Or isi tarah yeh duniya kabhi mujh per hanss ker,kabhi rulaker mujhe satati rahi

Aakhir maine kya jaana tha kay yeh duniya dhokhey ki hogi....

Thursday 14 April 2011

Guzaarish

Ek guzaarish hai tumse; mujhe yuhi humesha apna maanoge na
Mera dil dooba sa rehta hai; jaane kin khayaalon mein khoya rehta hai

Her raat jab andhera hota hai; jaane kitni siskiyo ka basera hota hai
Mai tanha reh jaati hoon; tere khawaabon se savera hota hai

Mai jab akeli hoti hoon na; akeli nahi reh paati hoon
Tab teri her yaad; her baat ka basera hota hai na

Kaayi baar sochti hoon darr jaati hoon; tum mujhe chhod to na dogay na
Saath dogay her pal yuhi; mujhe humesha apna maanoge na.......

Sukhey Pattein

Kabhi hawaaon se puchna daastaan sukhey patton ki
Jo aaj halkey se jhonkon mein udd jaya kerte hai,

Kabhi paedon per hare-bhare ithlaaya kerte they khud per
Aaj ek halki si phoonk se bhi darr jaaya kerte hai,

Paed aaj bhi wahi hai;hawaaien waise he chala kerti hai
Bas farq itna hai log aaj bhi naayi koplon ko dekh khush ho
jaya kerte hai,

Per haan wo sach mein kuch bhool jaroor jaatey hai
Or raundh jaatey hai kisi k sapney;or paav key neechey
sukhe pattein..

Sunday 3 April 2011

Karwat-e-Zindgi

Zindgi kaise badalti hai yeh toh bas waqt-waqt ki baat hai,
Verna fizaao mein bhi phool wahi khila kerte hai jiska rakeeb saath hai,

Gar kamjor daal per khila toh jald toot gir jayega,
Nahi toh bina khila he woh kisi k baalo ka shringaar ban jayega,

Yeh toh naseeb he jaane na k,
Woh kisi ki shaadi ki shobha badhaaega ya kisi ki mayyat mein shariqe ho jayega,

khuda he jaane yeh zindgi;kaise-kaise karwatey leti hai,
Yeh toh waqt aane per he insa jaan payega.