Thursday 17 March 2011

Mausam Ka Mizaaz

Bhor ka taara;bhor mei aata,
Raat ka her andhere mita-ta,

Maine bachpan mei suni thi yeh baatien,
Kaise andhera bhaag jaata hai suraj k aate,

Dukh bhi yuhi kaafoor ho jaata hai sukh k aate,
Her savera nayi roshni ki kiran laata hai,

Per bachpan ki yeh baatein;bachpan mei he vida ho gayi,
Or de gayi gum or tanhaai ki sisakti raatien,

Jaane ab kyu wo bhor ki sukhbhari kiran kyu nhi laata,
Jaane kyu jeevan ka yeh andhera kaafoor kyu nhi ho jaata,

Ab darti hu ujaale ki her kiran se:
or dubti raaton se,

Kabhi-kabhi mann k aakaash per badal bhi chha jaate hai,
Tarsi si nigaaho mei kuch sapne bun jaate hai,

Sochti hu ye badal jab chhatenge,
To shayad bachpan ki baatien sachhi ho jaaengi,

Per woh bhi chhatne per mere bheegey daaman ko or bhigo jaatein hai,
Or yaad dilaati hai bachpan ki wahi sab baatein,

K.... ek din sukh ka naya suraj niklega,
Or badalti hawaaion se mausam ka mizaaz bhi badal jaaega,

Shayad tab fir bhor ka taara aaega.

2 comments:

  1. it is said dat hope is a good breakfast bt it is a bad supper.life me kabhi kisi se jyada hope ni
    rakhna chahiye although it is gud bt i don't like last lines bcoz unme bahut hope h piz don't mind dis is my point of view

    ReplyDelete