Saturday, 17 June 2017

SISKIYAN

Kuch bujhi si aankhein
Kuch siskiyon se saji aankhein
Kuch bujhtey se sapney
Or aansuon me beh gayi;
Saare armaan apne 

Chahton ka khatam silsila
Doobti hasraton ka kaarwa apna
Jaane kyu; band nhi hoti yeah aankhein
Shayad dhoondti hai koi anjaam apna

Aaena pechan-ney se inkaar kerta hai
Kehta hai; in nazaron se mila nhi aajtak
Chera kuch pechana sa jaroor hai
Per itni uljhanay nhi thi us per

Itne swaal nhi thi aankhon mein
Itni shikaayatein bhi nhi thi hoton per
Chere per kuch lakeerien bhi hai
Ya waqt ki maar hai; jissey
 Ab usey ladna h akele
Zindgi bhar........










































i

Friday, 24 April 2015

Tufaan

Aaj phir tufaa ko samander mein aane ka shauk hua hai
Naakaam manzilo ko paane ka shauk hua hai
Usne socha tha k duba dega samander ko apne bhaav se
Badhta raha woh apne isi gumaan se
Soch raha tha tahas-nahas ker dega iski lehron ko aaj woh

Khoob jor lagaya toofaa ne samader ko dubaane mein
Kiye tej aandhi se prahaar ko
Toot gaya haar gaya woh
Tab jaana apne aks ko
Paida toh isi samander m hua hoon
Kaise ek chhota chuha hoker 
Pure desh ko katar sakta hoon....

Wednesday, 16 April 2014

Band Mutthi

Khoob pyaar paaya h zindgibhar maine,
Un sab ko jod kisi ek per daav lagaya h maine,
Aaj b mere paas ek band mutthi h baaki,
Bas kholne se darta h mann; k kahi
Mutthi khaali toh nhi; kahi sab kuch daav per laga ker, sab kuch he gavbaya ho maine,
Kahi sach m kuch na paaya ho maine...

Wednesday, 13 February 2013

Kya Kahoo

Yaad aati hai
Kuch khwaahishey kuch apne kuch sapne
Yaad aatey hai

Yaad aata hai woh baarish ka girna
Woh maati ki sondhi khusbu,phoolon ka chakna
Yaad aata hai

Yaad aata hai
Kisi ki tirchi nazro ka hasna
Nazarein milte he baaton ka badalna yaad aata hai

Yaad aata hai
Kisi ka snehil sa sparsh,
Aashirwaado ki jhadiyon ka lagna, yaad aata h

Sach yeh yaadein kuch nayi purani si
Bachpan se ab tak ki likhi kahani si
Or unmey kuch khwaahishey bemaani si
yaad aati hai.....

Tuesday, 9 October 2012

Maut

Ae baegairtien-Maut tu kisi ki na ho saki

K fir chali aayi tu zindgi ko haraati hui
Kisi ki duaao-dawaao per pehra lagaati hui
Kisi ko apno se door karwaati hui

Lo fir khade h hum aaj us mukaam per
K kisi k antim rukhsati k salaam per
Ek shikan aaj uske chere per chhayi hai
Jisey tu yuh zindgi se door le aayi hai

Tu nhi jaanti k pyaar kya hai
Kisi khaas k saath hone ka ahsaas kya hai
Kisi ki bolti aankhein; ankhi muskaan kya hai
Isliye toh tu MAUT hai....
hai na baegairat si, bemaani si.............

Tuesday, 7 August 2012

Khilona

Toot gaya haye chhooth gaya
Meri baaho mein aane se pehle mera chota sa khilona toot gaya

Kuch saapne jud gaye they us'sey
K armaano ki raahein mud gayi thi us'sey
Haye mera sapna kaise aankhon se udd gaya
Nami dekar unme woh kaise andhero se jud gaya

Maati ka nahi tha woh khilona
Jaane kitne ahsaaso, kitne saanso,kitne vishwaason ka tha woh
Woh aise kaise mujhse rooth gaya
Mera lamba intezaar kaise ek pal mein toot gaya

Haaash.... kya bataaoo kaise mera dil tod gaya
Kaise woh mujhe yuhi tadapta chhod gaya

Kaise mera sapna tod gaya...



Friday, 23 March 2012

Kuch Yaadein

Kabhi-2 kuch khatti-meethi yaadein yaad aati hai

Kabhi hans deti hoon unhe sochker
Kabhi wahi rula jaati hai
Tum gaye na dekha tumne palatker
Kabhi kismat toh kabhi khud ko kos liya

Per ab kya karu jab door nhi or paas bhi nhi ho mere
Per ab bhi kuch khatti meethi yaadein yaad aati hai

Jaanti hoon tum mere nhi ho
Per kyu juda bhi nhi ho
Per yeh sab kya hai
Nhi jaanti hu main

Kya koi tut'ta sa sapna hai
Ya k haqiquat jo khitchti jaati hai
Mai kya hoon?
Kay kya ho tum mere?

Kon ho tum mere jo kabhi apne
Kabhi kitne paraaye nazar aate ho
Shayad koi nhi
Hote; toh shayad yuh na tadpaate
Yuh na chhod k jaate....